Ads 468x60px

twitterfacebookgoogle pluslinkedinrss feedemail

Sunday 26 August 2012

 Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain ?

Kon Kehta Hai, Shararat Se Tumhain Dekhtay Hain ?
Jaaneman Hum Tou Mohabbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Tum Ko Maaloom Nahee Tum Ho Muqaddas Kitnay
Dekhtay Hain Tou Aqeedat Se Tumhain Dekhtay Hain

Dekh Ke Tum Ko Kisi Aur Ki Yaad Aati Hai
Hum Kisi Aur Hee Nisbat Se Tumhain Dekhtay Hain

Saath Gairon Ke Nazar Aao Tou Jee Gurhta Hai
Kia Kahain Kaisi Azyat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jhonkni Parti Hai, Ye Jaan Mein Hamain
Kon Kehta Hai Sahoolat Se Tumhain Dekhtay Hain

Jaanay Kia Likhtay Ho Kia Sochtay Rehtay Ho Wasi
Raat Ko Jab Bhee Kubhi Chhat Se Tumhain Dekhtay Hain



 Mujh se wo aksar kehti thi

Mujh se wo aksar kehti thi
Meri bus itni khawaish hai

Kuch aisi pehchani jaon
App k naam se jani jaon



Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai

Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai
Bichare ho to ojhara hoa ghar kamp raha hai

Tum ankh ki patali me chope sach ko bhi daikho
Mujram to nahin hai wo agar kamp raha hai

Weran hai is darja tere bad mera dil
Iss sheher me ate hoe dar kamp raha hai

Ikk main k judai ne mujhe kar dia sakat
Ikk to hai k sadame se odhar kamp raha hai

Anghan ko palat jaon na main chor k uss ko
Sehra main mera khawab safar kamp raha hai

Yaa to meri benai pe hai khof mosalat
Yaa nehar k pani me shajar kamp raha hai

Tujhe nahin don ga main kabhi hijhar k sadme
Dil me teri yadon ka sharer kamp raha hai



Aah! Wo mosam wo heele aur kinara nehar ka

Aah! Wo mosam wo heele aur kinara nehar ka
Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyan

Kia kisi wehshat zada mosam ka tum ko khof hai
Kiss lie khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan

Me use shohrat k baam-o-dar pe pohchane k bad
Apne daman me chopa le jaon ga ruswaiyan

Apni barbadii ka me ja kar kise ilzam don
Apne hathon se dabaen mene apni kashtiyan

Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe
Kab talak us se me khelon ga shikasta baziyan

Boliyan lagati hain abb bhi khoshiyon k sheher me
Ajj bhi bazar me bikati hain nazak titliyan

Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gea
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain bar-chaiyan

Yaad hai mujh ko December me judai ki wo raat
Chaand ki kirnain lahoo me ban gaen changariyan

Hijar k sahil pe kiss k muntazir baithe ho tum
Iss sumandar se bhala kab lotati hain kashtiyan

Phir kasila zaiqa mosam ka iss dil ko laga
Phir se ankhon me otar aen purani talkhiyan

Kon jane kiss se badala le raha hon me WASI
Aik modat se ragon me paal kar weraniyan



 Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se
Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Khof rehta hai na seelab kahen le jae
Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

Uss k pani me bhi pehle sa wo thehrao nahin
To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se

Ashak ankhon me solagate hoe s oo jate hain
Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se

Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai
Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se

Yee mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita
Meri shee raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se

Ae meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon
Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se

Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia
Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se 



 Main is hasar se nikalon to aur kuch sochon

Main is hasar se nikalon to aur kuch sochon
Tumhare piar se nikalon to aur kuch sochon

Teri galii k ilawa bhi aur qarye hain
Jo is diyar se nikalon to aur kuch sochon

Tumhare hijar ki sadiyan tumhare wasal k din
Main is shumar se nikalon to aur kuch sochon

Racha hoa hai tera ishq meri poron me
Main is khamar se nikalon to aur kuch sochon

Ye mera jisam k matam sara-e-hasrat hai
Main is mazar se nikaln to aur kuch sochon

Ye mujh ko kon mere raat din sambhalata hai
Iss ikhteyar se nikalon to aur kuch sochon

Tumhare jisam ki khoshboo ne kar dia masahoor
Iss abshar se nikalon to aur kuch sochon

Ye bekarari meri rooh ka ojala hai
Main iss karar se nikalon to aur kuch sochon


 
Abhi to ishq me aisa haal bhi hona hai

Abhi to ishq me aisa haal bhi hona hai
K ishq rokana tum se mahal hona hai

Har aik lab pe hain meri wafa k afsane
Tere sitam ko abhi la zawal hona hai

Baja k khar hain lakin bahar ki rot me
Ye teh hai abb k humen bhi nahal hona hai

Tumhen khabar hi nahin tum to loot jao ge
Tumhare hijar me lamha bhi saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azab otaren ge
Tumhari yaad ko us dil ki dhal hona hai

Kabhi to roe ga wo bhi kisi ki banhon me
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai

Milen gi hum ko bhi apne naseeb ki khoshiyan
Bus intazar hai kab ye kamal hona hai

Har aik shakhas chale ga hamari rahon par
Mohabbaton me humen wo masal hona hai

Zamana jis k gham-o-pech me olajh jae
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai

WASI yakeen hai mujh ko wo loot ae ga
Use bhi apne kie ka malal hona hai



 Har ikk shab meri taza azaab me guzari

Har ikk shab meri taza azaab me guzari
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari

Main aik phol hon wo mujh ko rakh k bhol gea
Tamam umer usi ki kitab me guzari

No comments:

Post a Comment