Ads 468x60px

twitterfacebookgoogle pluslinkedinrss feedemail

Sunday 26 August 2012

Falak pe chand k hale bhi sog karte hain

Falak pe chand k hale bhi sog karte hain
Jo to nahin to ojhale bhi sog karte hain

Tumhare hath ki chori bhi ben karti hai
Hamare hont k tale bhi sog karte hain

 Nagar nagar me wo bikhare hain zulam k manzar
Hamare rooh k chale bhi sog karte hain

Use kaho k sitam me wo kuch kami kar de
K zulam torane wale bhi sog karte hain

Tum apne dukh pe akaile nahin ho afsorda
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain



Me hon tera kheal hai aur chand raat hai

Me hon tera kheal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai

Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shal hai aur chand raat hai

Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai

Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me
Phir khawaish-e-wasal hai aur chand raat hai

Campas ki nehar par hai tera hath hath me
Mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai

Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malal hai aur chand raat hai

Meri to por por me khoshbo si bus gai
Us par tera kheal hai aur chand raat hai

Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chand raat hai 



Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa lia

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa lia
Wo bhi isi kheal se aoron ki ho gai

Pehle to us k hath ki mashal bhojhi WASI
Phir yon hoa kahen meri taqdeer kho gai



Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai
 
Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai
Mujhe to chand sitaron se khof ata hai

Me doshmano k kisi war se nahin darta
Mujhe to apne hi yaron se khof ata hai

Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain
Humen udas baharon se khof ata hai

Mile hain doston besakhiyon se gham itne
Mere badan ko saharon se khof ata hai

Me iltafat ki khandak se dor rehta hon
Taloqat k gharon se khof ata hai



Be sabab to na thin teri yadain
Teri yadon se kia nahin sekha

Zabat ka hosala bharha laina
Ansaon ko kahen chopa laina

Kampati dobati sadaon ka
Chop k chadar se dhanp kar rakhana

Be sabab bhi kabhi kabhi hansana
Jab bhi ho baat koi talkhi ki

Mozon goftago badal daina
Be sabab to nahin teri yadain
Teri yadon se kia nahin sekha


 Jab raat ki nagan dasti hai

Jab raat ki nagan dasti hai
Naas naas me zehar otarta hai

Jab chand ki kirnain tezi se
Uss dil ko cheer k ati hain

Jab ankh k andar hi ansoo
Zanjeron me bhand jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho

Jab dard ki bhanjar bajati hai
Jab raqas ghamon ka hota hai

Khawabon ki taal pe sare dukh
Wehshat k saaz bajate hain

Gate hain khawaish ki lee me
Masti me jhomate jate hain

Sab jazbon par cha jate hain
Tab yaad bahot tum ate ho
Tab yaad bahot tm ate ho



Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhari ‘’han’’pe wohi sardiyon ka mosam hai

Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Sulag rahi hain dahan me qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Tumhare ane pe soraj k hath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Har aik simat pigalane lage hain sanate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo ‘’han’’ kare gi baharon me us ka wada tha
Us aik ‘’han’’ pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo mujh ko sonmp gea farqaten decembe ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mosam hai 


 
Dukh dard k maron se mera zikar na karna

Dukh dard k maron se mera zikar na karna
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna

Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar
Tum raah guzaron se mera zikar na karna

Pholon k nasheman me raha hon me sada se
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna

Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen
Abb chand sitaron se mera zikar na karna

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain
Afsana nigaron semera zikar na karna

Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain
Iss bar baharon se mera zikar na karna

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar
Darya k kinaron se mera zikar na karna

Wo shakhs mile to use har bat batana
Tum sirf isharon se mera zikar na karna
 

No comments:

Post a Comment